Wasif Ali Wasif Quotes and Poetry. ( Dil Darya Samandaron Dohngay )
Zindagi sirf me he nahe, zindagi "Woh" bhe hay "To" bhe hay.
Koshish ko agar Hathi keh lya jay to Naseeb Ababeel ke kankari hay.
Aaj ka insan sirf makaan main rehta hay, is ka ghar khatam ho gya hay.
Allah ka mehboob aur Allah kay walli kisi sa aek dafa taluk qaim karnay kay bahdh is taluk ko tortay nahe, bazo pakrnay ke laaj rakhtay hain.
Zindagi agaaz sa pehlay bhe the aur anjaam k bahd bhi ho ge, zindagito bus zindagi hay. is ka yom e padaish aur yom e wasal sa kia taluk.
Badtameez hona, bad mazaaj honay sa zyada khatarnaak hay.
Marnay wala us waqt marta hay jab us k yad karnay walay mar jatay hain.
Kisi insan kay kamzarf honay kay lya itna he kafi hy keh wo apni zuban sa apni tareef karnay par majboor hay.
Hum agar zoban ke phelai hoi moseebton ka jaiza lain to mahloom ho ga keh khamooshi me kitni rahat hay.
Jin logo na mushkalaat ka byan logo k samnay kya. darasal unho na apni mushkalaat mein izafa kya.
Sakoon apnay andar phelao ke khaish ko samaitnay ka naam hay.
Us dost ka gilla kar rahe ho jo dhoka da gya, Gilla apni aqal ka karo jo dhakhay baaz ko dost samajhtay rahe.
Ruh ke gehrai sa nikli hoi baat, ruh ke gehrai tak zaroor jay ge.